Ik pal maiN ik sadi ka maza hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka maza hum se poochhiye
Bhoole haiN rafta rafta unhaiN mudattoN meiN ham
QistooN maiN Khudkushi ka maza hum se poochhiye
Aaghaaz-e-aashiqi ka maza aap jaaniye
Anjaam-e-aashiqi ka maza hum se poochhiye
Jalte diyoN maiN jalte gharoN jesi lau kahaaN
Sarkar roshni ka maza hum se poochhiye
Woh jaan hi gaye ke hameiN un se piyaar hai
AaNkhoN ki muKhbari ka maza hum se poochhiye
Hansne ka shoq ham ko bhi tha aap ki tarha
Hansiye magar hansi ka maza hum se poochhiye
Hum tauba kar ke mar gaye beymaut aye "Khumar"
Tauheen-e-mai'kashi ka maza hum se poochhiye
KHUMAR BARABANKVI
No comments:
Post a Comment